top of page
![IMG20230521190311-01.jpeg.jpg](https://static.wixstatic.com/media/28e828_710bc1fb14c644f5ae24c76d7fdb5475~mv2.jpg/v1/crop/x_0,y_1267,w_4624,h_935/fill/w_1311,h_265,al_c,q_80,usm_0.66_1.00_0.01,enc_avif,quality_auto/IMG20230521190311-01_jpeg.jpg)
Subhankar Dutta
Academician / Creative Writer / Theatre Artist
शायरी (Shayari)
Kitne saste me bik gaye hum! Ye ishq, kitni bebuniyaad hain tu!
— Subhankar
"Wo ladte rahe khudse aur khudase,
Par waqt waqt se chutney laga!
Ishq to tha bepanah, magar,
Is zamaneme wo tutne laga"
— Subhankar
"Aab nehi to kisi aur zamaneme milo!
Dil ka rasta yaad rakhna,
Yaade mehfooz rahe na rahe,
Wo nili saree jarur rakhna"
— Subhankar
"Tumhari hatheli, wo choti ungliya,
Wo aakh tale kajal, Saab yaad hain!
Wo intezar, wo mulakate,
Wo bichadna, Saab yaad hain."
— Subhankar
"Kuch jaruri tha, jo aab jarurat nehi,
Jo daag kabhi sabse pyaari thi unhe,
Aaj mehnat se mitane lagi..."
— Subhankar
"Itna aasan nehi hain mohabbat-e-zindegi,
Aksar log bahaneki mehfil khadi kar jate hain!
Wo bewafa to nehi, paar kayar jarur hain,
Jo ishq adhura chor jate hain..."
— Subhankar
"Kisiko jatana nehi ata, Kisiko nibhana nehi ata,
Ye ishq bhi kaisa hain Galib-
Dil ko saab pata hain, paar-
Dimaag me nehi ata!"
— Subhankar
"Kabil koi kisi keliye nehi hota,
Ruk jana bhi ek kala hoti hain.
Raasta chahe kitni bhi bula le,
Kabhi kabhar thehr jana bhi jaruri hota hain...
Duniya chahe kitni bula le,
Ghar jana bhi jaruri hota hain..."
— Subhankar
"Har qisse ko kamiyabi nehi milti,
Har raho ko manjil nehi milti,
Wo likhe huye khat jo diary me chupa rakha hain,
Use padhnewalo ki khusboo nehi milti..."
— Subhankar
"Ye jo ishq mukalaam na ho, to kya hain!
Tu na thehre aur main wahi ruk jayu, to kya hain!
Ye jo diary, shyari, kalam, khwab, aur tu....
Ye to mujhme main hoon, wahi kho jaye to kya hain!
— Subhankar
Aksar log khudse milnese pehle,
Logo se mil lete hain,
Aayna dekhnese pehle hi, aksar,
Dusreki aakhon me khudko dekh lete hain!
— Subhankar
"Kuch kimti chiz rakha hain, Tumhe dena hain-
Kuch waqt bacha rakha hain Tumhe dena hain-
Is shor bhari sahar me, Kuch khamoshi bacha rakha hain,
Tumhe dena hain.
Labzo se jo baya na ho paye, wo na-labz bacha rakha hain,
Tumhe dena hain-
Kuch kimti chiz rakha hain, Tumhe dena hain."
— Subhankar
bottom of page